PYARE NABI KI PYARI BAATEIN

[1] Adheri raato mai namaz ke liye masjid jane wale namaziyon ke liye khushkhabri hai ki qayamat ke adhere mai unhe nor hasil hoga.

[2] Jisne isha aur fazar ki namaz jam-at  se ada ki goya usne raat bhar ibadad ki.

[3] Jo adimi namaz ada karne ki niyat se ghar se masjid gaya to har-har kadmo parr uska ek-ek darza baland hoga. Ek gunah maaf hoga. Jab tak waha masjid mai raheta hai, farishte uski magferat ki dua karte rahete hai.

[4] jisne allah ki raza ke liye yasin sharif padhi, uske gunah maaf kar diye jate hai.

[5] Yatim ka maal khane wale jab apni qabro se uthhege to unke muuh se aag ke shole ugal rahe hoge.

[6] Mehenat-mazduri karne rozi hashil karne wale allah ke dost hai.

[7] Har juma mai maa-paap ki kabro ki jiyarat ke liye jane walo ke gunah bakhsh diye jate hai.

[8] Jisko apne deeni. Bhai ke dukh-shukh ka ayesas nahi wah hamra nahi.

[9] 2-akho ko jahannam ki aag na chu shakegi – [1] Allah ke khwf se rone wali ache [2] khuda ki rah mai pahera dene wali ache.

[10] Jo elm deen kit alas mai ghar se nikla, wapas apne tak wah muzahid ki tarah hai (usse zehad ka sawab milega)

[11] Jo tumhe marhum kare (tumhara haq na de) tum usse to, jo tumse rishta tode tum usse nata jodo, jo tum par julm kare tum usse maaf kardo. Ayesa karne walo ko allah paak apni rahemat se jannat mai dakhil farmayega.

[12] Jab tak ki adimi mazak mai bhi jhhot bolna na chhode, momin nahi ho shakta.

[13] Jo logo ko hasane ke liye jhhot bole wah tabah ho jaye, tabah ho jaye, tabah ho jaye.

[14] Jo adimi sawab ki niyat se achchhi tarah waju kare aur apne bimar bhai ki tabiyat puchhne jaye wah jahannam se 60 baras ki rah jitna duur kar diya jata hai.

No comments:

Post a Comment