ISLAM kis ke liye Hai

Beshak ALLAH Ta'ala ke Nazdeek Deen Islam hi hai" [Quran 3:19 ]

Islam wahi Deen hai jis ki Da'wat o Taleem har Paighambar apne apne daur me dete rahe hain aur ab iski kaamil tareen shakl wo hai jise Nabi Akhiruz Zaman Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne Duniya ke saamne pesh kiya, jisme Tauheed wa Risaalat aur Aakhirat par is tarah Yaqeen o Imaan rakhna jis tarah Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne batlaya hai.

Ab mahez ye Aqidah rakh lena ke ALLAH ek hai ya kuch achche amal kar lena, ye Islam nahi na is se Najat Akhirat hi milegi.

Imaan wa Islam aur Deen ye hai ke ALLAH ko Ek Mana jaye aur sirf isi Ek Ma'bood ki ibadat ki jaye, Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam samet tamam Ambiya par imaan laya jaye. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat par Risaalat ka khatma tasleem kiya jaye.

Aur Imaaniyat ke sath sath woh Aqaid o Aamaal ikhtiyar kiye jaye jo Quran e Kareem me ya Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam me bayaan kiye gaye hain.

Ab is Deen Islam ke Siwa koi aur Deen indallah Qubool nahi hoga."

Aur jo Islam ke siwa koi aur Deen talash kare to is se hargiz Qubool nahi kiya jayega aur wo Aakhirat me Nuqsan paane walo me hoga." [Quran.3:85 ]

MA'ABOOD (jis ki ibadat ki jaye )sirf ek hi hai..:"

(To Jaan Lo ke) Hamara aur Tumhara Ma'bood Ek hi hai aur hum isi ki baat par chalne wale hain." [Quran 29:46 ]

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Risaalat puri Insaaniyat ke liye hai..:"

Keh dijiye! Aye Logo! Main tum sab ki taraf ALLAH ka Rasool hoon." [Quran 7:158 ]

QUR'AN kis ke liye hai..?"

Barkaton Wali Hai Woh Zaat (ALLAH) jisne apne bando par Furqan Nazil kiya taa ke wo jahaano ka daraane wala ho." [Quran 25:1]"

Maahe Ramzan wo hai jis me Qur'an utara gaya jo Logon ko Hidayat karne wala aur jis me Hidayat ki aur Haq wa Batil ki tameez ki nishaniyan hain." [Quran 2:185 ]

ALLAH Ta'ala ne Insaano aur Jinnat ko kyun paida kiya..?"

Maine Jinnat aur Insaano ko mahez isi liye paida kiya ke woh sirf Meri ibadat kare." [Quran 51:56]"

Aye Logo! Apne is Rabb ki ibadat karo jisne tumhe aur tumse pehle ke logon ko paida kiya, yahi tumhara bachaao hai." [Quran 2:21]

Aur Musalman Ummat ki paidaish ka maqsad kiya hai..?"

Tum Bahtreen Ummat ho jo Logon ke liye paida ki gayi hai ke tum Nek Baaton ka Hukm karte ho aur Buri Baaton se Rokte ho aur ALLAH Ta'ala par Imaan rakhte ho." [Quran 3:110]

Aur Hadees me hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmay:"

Qasam hai is zaat ki jis ke hath me Meri Jaan hai, jo Yahoodi ya Nasraani (ya Majoosi) mujh par imaan laaye bagair mar fout ho gaya, wo Jahannami hai." [Sahih Muslim]
mazeed farmaya: Main Ahmar aur Aswad (yani tamam insaano ke kiye) Nabi bana kar bheja gaya hoon.

Isi liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne waqt ke tamam Salateen aur Baadshaahon ko Khatoot tehreer farmaye jin me ISLAM QUBOOL KARNE KI DA'WAT DI. [Sahiheen - Bahawala ibne kaseer ]

Pata chala ke ISLAAM, TAUHEED, RISAALAT, QURAN, IBADAT aur Ye UMMAT tamam Logon ke liye hain, aur in baaton ko tamam insaano tak pahonchana is Ummat ke zimme FARZ E AIN hai.

Wa Lillaahil Hamd

No comments:

Post a Comment