"Farishton se Behtar Hai Insan Ban'na, Magar Is mein Lagti Hai Mehnat Ziada"

Hazrat-Muhammed{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka mission kya tha.?
Us mission ka asal kam (highest virtue) kya tha?

Hazrat- Mohammed {sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke mission ke bare mein baat karne se pehle hum is duniya ko allah ne kyon banaya isse janna bahut zaruri hai. duniya ke bare mein soch kar ek samjhdar insaan ye sochne par majboor hota hai ke ”yeh kaynat(universe) kyon paida ki gai hai ?
Kisne ne paida ki hai?
Kya Ye apne aap chal rahi?
Yah iska koi chalane wala bhi hai?
Iska anjam kya hone wala hai?
is mein jo allah ne cheeze paida ki hai,kyon paida ki hai?
Fir insan sochta hai meri zindgi ka maqsad kya hai?
Mujhe kyon paida kiya gaya hai?
mera role kiya hai? meri hasiyat kiya hai?
mera anjam kya hone wala hai?
Ye sawal paida hote hai?
Ab jab hum inka jawab quraan mein dhundte hai tab hum pate hai..

Allah quran mein farmata hai , “aur yaad karo jab tere ‘rab ’(palnewale) ne ‘farishto’ se kaha ki mein zameen par ek ‘khalifa’(vicegerent) bana ne wala hu”
( surah-al-baqrah,aayat-no: 30)

{yeh hazrat adam ki paidaish ke pehle ka mamla hai,allah ne hazrat adam(yani hum insano) ko is kaynat ka khalifa banaya hai.khalifa kuan hota hai ?

Khalifa= wo jo malik (owner) ki milkiyat(estate, property) mein us(malik) ke diye gaye ikhtiyar (power, rights,privileges) malik ke numayendey (representative) ki hasiyat se istemal kare. khalifa malik nahi hota balki asal mein malik ka nayib(representative)hota hai.khalifa ke ikhtiyar personal nahi hote balki malik ke diya gaye hote hai,woh apni marzi ke mutabik kam karne ka haq nahi rakhta, balki us ka kaam malik ki marzi ko pura karna hota Hai, agar khalifa apne aap ko khud malik samjhne lage aur apne ikhteyar ko manmane tareke se istemal karne lage ,ya asal malik ke siwa kise aur ko apna malik samjhne lage toh yeh sab ghaddari aur bagawat hai. aur dosri baat jab allah ne insano ko zameen ka khalefa banaya to is ka seedha sa matlab ye tha ke,allah insan ko ikhteyar de kar aazmayega ke kuan allah ki marzi ke mutabik un ikhteyar ko istemal karte hai aur kuan nahi.

Aur allah yeh bhi kehta hai ke “hum ne jinno aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ke woh meri ibadat(bandegi) karein”.
(surah-al-zaryaat, aayat- no: 56)

{ibadat ka matlab sirf namaaz ,roza nahi hota balki puri zindagi allah ki marzi ke mutabik guzari gai hai.( complete obedience not partial obedience)}.

yah to tha insaano ki paydaish ka maqsad.jisko yaad karwane ke liye allah ne waqt-waqt mein apne messengers bheje,aur in sab messengers mein akheri hazrat muhammmed{sall’ allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hain. (in sari baton ka ek natija (result) nikalta hai ke ek din aisa hona chahiye jab allah apne farmabardaro ko reward de aur na- farmano ko punishment.)

Aaye ab hum dekhte hai hazrat muhammed { sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne kyon rasool bana kar bheja hai, muslims se allah kiya chata hai ?
Hum muslims ki kya responsiblity hai?
Sabse pehle hum hazrat muhammed{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke responsiblity ko dekhte hai .

Allah aage hume batlata hai, huzur {sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}ko allah ne jab rasool banaya toh kaha “utho aur kahbardar karo” (arise and warn)
{surah-al-mudassir, aayat- no: 2)

hamesha ki jannat aur dozak ka fasla hojaega.fhir dusri jagah allah farmata hai “wah(rasool) unhe(logo ko) neki ka hukum deta hai,burai se rokta hai,unke liye pak chize halal aur napak chize haraam karta hai,aur unpar se wah boj ( loads) utarta hai joh unpar lade hue the aur wah bandhan khoalta hai jin mein wey jakdey hue the.
{surah-al-aaraaf, aayat-no: 157).

Hazrat muhammed{saw} ke asal maqsad(highest virtue) joh aap ko tamam nabi aur rasoolo ki jamaat mein ek alag position ata karti hai. allah kehta hai ”wah allah hai jisne apney rasool{saw} ko hidayat[ guidance (quran)] aur deen-e-haq (complete way of living) de kar bheja hai,taki usko galib(superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi (system of life) par aur is haqeqat ki gawahi ke liye allah kafi hai”.
(surah-al-fatah, aayat-no: 28)

ye aayat-e-kareem 3 bar quraan mein aai 2 bar similar aur 1 bar sirf thode se farq ke saath {surah-al_fatah, aayat-no: 28 , surah-al-saff, aayat-no: 9& surah-al-anfaal, aayat- no: 33 }

Allah ne is ayat 3-3 bar nazil kyon ki zara sochiye? Yani is aayat se hume pata chala ke allah ne hazrat muhammed{ saw} ko 2 chiz di hai nos
1. Hidayat(quran) aur
2. deen(yaani allah ka bheja hua zindgi jeene ka tareqa jise hum ‘shariat’ bhi kehte hai) aayat se ek baat aur pata chali ke allah ne farmaya”taki usko galib (superior) kare sare ke sare nizam-e-zindagi( system of life) Par ”

yani hum muslims ke zimme yeh duty hai ke hume allah ke deen ko galib(superior,bada) banana hai. Yeh hum sab muslims ki duty hai ,yeh farz-e-aaen hai(no one is exempted) .
kiya hum ye kaam kar rahe hai ???.

hume allah ne apne deen ko puri duniya mein bada banane ko kaha tha lekin afsos sad afsos musalmano socho toh zara duniya ke kis hisse mein allah ka bheja hua deen chalta hai.

gairo ko chodo khud hamara ‘haram-halal’ dusre decide karte hai.allah ka bataya ‘haram-halal’ aaj neeche hai .(allah gawah hai mujhe rohna aa raha hai) jua(gambling) zina ( fornication) sood(interest) , blue films (ka dekhna kis kadar shaitaan ne asan bana diya),behayai hamre rab ne toh parda de kar hazrat muhammed{saw} ko bheja tha, fasley kis kanoon ke mutabik ho rahi hai

Allah farmata hai “joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh kafir hai”, “joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na karey wahi toh zalim hai” “joh log allah ke utare hue kanoon ke mutabik fasla na kare wahi toh fasik (reblious) hai”
(surah-al- maidah, aayat- n0 : 44 ,45 ,47)

liberalism,seclarism, etc etc sab hai par afsoos kahi ‘allah ka kaha’ nahi hai’… ‘allah ki aise bagawat isse pehle zameen mein kabhi nahi hui’. Hum kehte zaroor hai ‘har namaz mein ‘allah hu akbar’(allah sabse bada hai).

Musalmano batao kiya allah sach mein bada hai? Ya shaitaan bada hai? Nahi ban paya? Kiya hamarey ghar mein t.v band ho gayi? Kiya hum sood(interest) ki lanat se bach gaye? Kiya hamarey shadi-biyah allah ki marzi ke muttabik hote hai? Hum kaha-kaha tak haram halal ka tameez karte hai? Kab tak musalmanno time pass karoge?

Allah farmata hai ”kiya imaan walo ke liye woh waqt nahi aaya ki unke dil allah ke zikr(quran) aur uske utare hue haq ke aage jhuk jae.
(surah- al-hadid, aayat-no: 16)

jab tak shariat(divine law) zameen par lagu nahi kiya jayega allah bada nahi banega!!!

Kyon ke allah ne apne rasool{sall’allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko deen- e -haq de kar bheja hai.islam isliye aaya hai ke uske mutabik zameen chale.

Allah farmata hai agar musalmano tum allah ke kam nahi karoge toh allah tumhare sath ye karega ”kaho agar tumahre baap,tumahre bete,tumahre bhai,tumahri wifes,tumahri family,aur wo maal joh tumne hasil kiya hai aur wah karobaar jiske mandey pad jane ka tumko shak hai aur wah ghar jo tum ko pasand hai tumhe allah se,aur uski rah mein jahddo- jehad (struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye.aur allah nafarmano ko rah nahi dekhata. ”
(surah-al-tauba, aayat-no: 24)

jaddo-jehad(struggle)ye batati hai ke kaun allah se aur uske rasool se sach mein mohabbat karte hai.lambi-lambi zabane rakhne wale musalmanno yeh kaam allah ne hum sab par farz-e-aan(no one is exempted)hai.

Arey apney career ,apney buisness,apney kaamo ko choro aur allah ka kaam chalu karo ..marna tumko bhi hai marna mujhe ko bhi hai qabar Mein jana hai fir allah se kyon daga karte ho, agar nahi karoge to allah farmata hai ”uski rah mein jahddo- jehad(struggle) karne sey zyada mehboob hai toh intezar karo yaha tak allah apna fasla sadir farmaye’ ‘allah aage farmata hai “tum inke maal aur aulad dekh kar tajjub na karo. Allah to ye chahata hai ke inke zareye sey in ko duniya ki zindagi mein azab de aur inki jaane is haal mein nikale ki wo kafir ho’
(surah-al-tauba, aayat-no: 55)

arey socho zara sahaba nabi{saw} ka sath chor kar apney gharo se nikley madine shareef mein to nabi{saw} the. ‘jaha nabi{saw} ka paseena gira sahaba ne apna khoon gira diya..aur islaam galib ho gaya’ .

aaj kitne afsoos ki baat hai deen gairoh ka nafis (buland) hai,hum muslim unke deen ke tehat apni zindagi guzar rahe hain. ‘hum apney islaam ko sirf mazab(only namaz,roza,haj) bana kar rakh diya hai, jabki islam deen(24 hours life) hai’. hume unko jaziya (tax) de kar zindagi guzar rahe hai, deen unka bada hai, hum sirf namaaz roza tak muslim hai.

Allah farmata hai ”jab kitab ke ek hissey par amal karoge aur ek hissey ka inkar to aisa karne wale ki saza is ke siwa aur kiya hogi ke duniya mein ruswai aur aakhirat mein sakht tareen azab’
(surah-al-baqrah, aayat- no: 85)

aayat ke in alfaz par ghaur kare ‘akhirat mein sakht tareen azab . qiyamat mein to sab jante hai ke sabse zada azab munafiqo(joh dawah karte hai muslim hone ka lekin islam par pura aamal nahi karte) ko milega . Munafiq aur bidati jahannum ke sabse Nichley darjey mein honge’
(surah-al-nisa, aayat-no: 145)

"lado unse jo
(1) imaan nahi rakhte allah par
(2) na hi qiyamat par
(3) na hi wo haraam karte hai jo allah ne aur uske rasool{saw} ne haraam kiya hai
(4) aur wo jo islaam ko kubool nahi karte ahl-e- kitab (jews and christians), jab tak wo jaziyah(tax) nahi dete apni marzi se, aur chote ban kar rahe”
. (surah-al-tauba, aayat-no: 29 )

” aur ruzu(palto) apney rab ki taraf aur uskey farmabardar bano isse pehle ke tum par azab aaye, fhir tum ko koi madad mil na sakegi ”
(surah-al-ankaboot, aayat- no: 54 ).

” aye eman walo! Allah ke madadgar bano . jis tarah isa-ibne-maryam ne apney hawariyo(companions) se kaha tha ‘kuan hai allah ke rah me mera madadgar? Hawariyo ne jawab diya tha, hum hai allah ke madadgar.to bani israel ke ek giroh emaan laya aur dusrey giroh ne kufr kiya .toh humne(allah ne) emaan lane walo ki unke dushmano ke muqabley mein madad ki aur wah galib ho gaye (surah-al-saff, 14) “

Salaam "Quran-o-Hadees" Ki Raoshni Me

Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawabdo ya onhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allahtala har cheez ka Hisab lene wala hai.
(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)

Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)

*Salaam Karna Sunnat Hai.
*Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai. Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.

*Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha " Assalamu Alaikum" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi Aaye aur kaha " Assalamu Alaikum warahmatullah" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya " Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh " Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood).

(yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).

Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi muslim)

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu AlaihiWasallam ne Farmaya: “ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)

*Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .

* Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).

* Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).

*Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.

* Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.

* Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.

* Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq Hoga.

* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, BalkeGunah ka Bais Hai.

*Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k logSalaam karenge sunnat samajh kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen.

Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.

********{ Dua Qabool Na Hone ki Wajeh }********

Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh, se kisi ne sawal kiya k hame kiya huwa k hamari dua qabool hi nahi hoti toHazrat Ibrahim Bin Adham ra ne Farmaya is liye k tumhare dil 10 cheezonki waje se murda ho chuke hai, Poochne wale ne pucha wo 10 cheezen kya hai? Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh ne Farmaya.
1.Tum Allah ko pehchante ho magar us kiIta’at Nahi karte.
2.Tum Rasulullah sallaallahu alaihi wasallam ko pehchante ho magar un ki sunnaton ki itteb’aa nahi karte.
3.Tum Quran ko pehchante ho magar us per Aml Nahi karte.
4.Tum Allah ki naimaton ko khate ho magar Shukr ada nahi karte.
5.Tum jannat ko pehchante ho magar us ko Talab nahi karte.
6.Tum dozakh ko pehchante ho lekin tumus se door nahi bhagte.
7.Tum shaitan ko jante ho lekin us se ladte nahi ho bal k tum uski mushabihat, karte ho.
8.Tum mout ko jante ho lekin uski tayyari nahi karte.
9.Tum murdon ko dafan karte ho lekin tum un se Ibrat hasil nahi karte.
10.Tum Neend se bedar ho ker logon k uyoob daikhne me mashgool hojate ho aur apen uyoob ko bhool jate ho.

******{ Baat mein Baat 2 aur 3 aur 4 Cheezen }*******

2 cheeze Iman ki Alamt hai: Musibat me Sabr krna, Nematon per shukr krna.

2 cheeze Sacchi dosti ki Alamat hai: Pareshani me sath dena, Hairani me naik Mashwera dena.

2 cheezon ko mt Bhoolo: Khuda ko, Mout ko.

2 cheezon ko Ganimat jano: Mout se pehle zindagi ko, Bimari se pehle sahet ko.

3 cheezen jaker waps nahi aasaktin: Gaya hua waqt, khoi huwi izzat, guzri hui umr.

3 cheezen himmat tod deti hai: Dushman, Qarz, bd mizaj Biwi.

3 cheezon ko koi Taqat nahi rok Sakti: Mout ko, Taqdeer ko, Waqt ko.

3 kaam Fazil tareen Aamal hai: Dusman ko dost banana, Jahel ko Taleem dilana, Fasiq ko Nasihat krna.

3 cheezen mo’jab Zillat hai: Dil me kina Rakhna, kisi se Hasad karna, Tulu Aftab k waqt sona.

3 cheezen 3 cheezon ko yaad dilate hai: Bimari tarndurusti ko, Garibi doulat ko, Takleef Rahat ko.

Umr 3 hisso me Munqasim hai: Bachpan, Jawani, Za’ifi.

4 cheezo ko Ikhtiyar krna chahiye: Khuda ki Ibadat, Achhi sirat, Doston ki Diljoi, logo k sath naiki.

4 cheeze sahebe dil ki Alamat hai: Gusse ko pi jana, kisi Shaksh k haq me Kalimaye kufr na kehna, kisi k dil ko Ranjida na karna, kisi k ayeb ko zaher na krna.

4 cheezo ko 4 cheezo se Nuqsan Pohnchata hai: Maal ko chor se, Shaoor ko Jihalat se, Ilm ko Garoor se, Muhabbat ko Qarz se.

4 cheeze 4 cheezon ko barbad kr deti hai: Na shukri nemat ko, Khairat doulat ko, Garoor Izzat ko, Jihalat Ilm ko.

******{ Dua k Chnd Aadab }******

1. Paak-o-Saaf bawazu Qibla ru hoker Dua Mangna.
2. Dono hath sine k Samne Rakhna.
3. Dono hatho k drmiyan thoda Fasla Rakhna.
4. Ikhlas Aur Tawajjeh k sath chupke chupke dua mangna.(Sana padhne ki tarah).
5. Dil me ye yaqeen rkhna k Inshaallah Hamari dua zaroor Qabool hogi.
6. Dua k Awwal-o-Aakhir me Hamd-o- Sana Aur daroode sharif ka Ehtemam Rakhna.
7. Dua k baad dono hath chahre per Phairna.

********{ Rozana Quran ki Tilawat Karen }********

Rasoole Akram sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya:
1. Tum me se behter wo shaksh hai jo Quran Majid ko sikhta aur sikhata hai.(Bukhari).
2. Jo Quran Majid ko khush alhafi se nahi padhta wo hum me se nahi (Bukhari).
3. Quran Padha karo kyun k Qayamat k roz ye apne Qari k liye “Shifarshi” ban kar aayega.(Muslim).
4. Jis k sine me kuch bhi Quran na ho wo aisa hai jaisa ujaad ghr.(Tirmizi).
-------------------------- ------{ Quran}------------------------- -------
Mujhe na bhoolna, Mere saath rehna, Apne dil mein rakhna, Mujhe yaad karna, Mujhe samjhna, Aur amal karna,kiu ke Qayamat ke roz tumhe meri zaroorat ho gi. Allah Tala ham sab ko Rozana Quran ki tilawat karne aur us ko samajh ker amal karne ki Toufeeq ata Farmaye Aameen.
------------- Sukon Dhondta Phirta Tha Me Baharon Me,
------------- Haseen Wadiyon Mei, Surmaye Nazaron Me,
------------- Me Is Talash Mein Ja Phncha Chand Taron Main,
------------- Magar Ye Mujhe Mila Quran K 30 Paron Mein.

******{ Irshadat-e-Nabi sallaallahu alaihi wasallam }******

* Tum me sub se zyada mujhe wo log Mahboob hai jo tum me Akhlaq k lihaz se sub se acche hai.(Bukhari)

* Us zaat ki Qasam jis k hath me meri Jaan hai jo kuch mai janta hu agar tum jante to Rote zyada aur Haste kam.(Bukhari)

* Insan ko jo kuch ata hua hai us me sub se behter “Husne Akhlaq” hai.(Bahiqi)

* Taqwa aur Husne khalq k sabab Aksar log Jannat me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Zuban aur Shrmgah k sabab Aksar log Jahannam me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Qayamt k roz momin ki mizan me jo sub se Wazni cheez rakhi jaye gi wo Husne Akhlaq hai.(Abuda’ud)

* Duniya mal’oon hai aur jo kuch duniya me hai wo bhi mal’oon hai.(ibe maja)

* Aye allah! Mai tujh se ilm-e-nafe Aml Maqbool aur Pakiza rizq ki Darkhwast karta hu.(ibne maja)

* Mere baad logon me sub se badh ker Fayaz wo shaksh hoga jis ne ilm hasil kiya phir use pehlaya.(Bahiqi)

* Jis shaksh k sath Allah Tala bhalai chahta hai use deen me Samajh ata Farmata hai.(Muslim)

* Jo koi Allah Tala se milne ko psnd karta hai to Allah Tala bhi us se milne ko psnd Farmate hai.(Bukhari)

* Jo shaksh Allah ki Mulaqat ko na psnd karta hai to Allah bhi us ki Mulaqat ko na psnd karta hai.(Bukhari)

* Sub se behter islam us shaksh ka hai jiski zaban aur hath se Muslman mahfooz rahe.(Ahmed)

* Allah Tala duniya to us ko bhi deta hai jis se Mohabbat Farmata hai aur us ko bhi jis se Mohabbat nahi Farmata.(Bahiqi)

* Allah Tala deen sirf usi ko ata karta hai jis se use Mohabbat hoti hai.(Bahiqi)

* Burai k baad Naiki karlo ta k Naiki burai ko mitade.(Tirmizi)

* Bokhl haya aur Iman dono kisi bande k Dil me bhi jama Nahi honge.(Nasai)

* Jub koi cheez tumhare dil me Tard’dud paida kare to use Chhod do.(Ahmed)

* Naiki kar k jis ko khushi ho aur Burai kark jis ko Gam aur Pachtawa ho to wo Momin hai.(Alhakim)

*{ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k 10 Faseeh-o-Baleeg Aur Jam’e Farmudaat }*

1. Momino ki aik Doosre se Mohabbat, Aik doosre per Rahem Aur aik doosre se Shafaqqat ki Misal Insani Jism ki si Hai, Jub is k Kisi aik A’azu ko Takleef ho to Pura Jism be Aarami aur Bukhar me Mubtela hota hai. (Sahi Muslim)

2.Iman me Kamil Tareen momin wo Hai jo un me Akhlaq me Sub se Accha ho, Aur tum me se Bahtareen wo hai jo Apni Biwiyo me Bahtareen ho.(Tirmizi)

3. Tum me se koi Us waqt tak Momin nahi ho Sakta Jub tak k wo Apne Bhai k liye Wahi Pasnd na kare jo Apne liye Pasnd karta Hai.(Sahi Bukhari)

4. Rahem karne walon per Rahman Rahem karta Hai, Tum Zameen Walon per Rahem karo, Tum per Aasman Wala Rahem Karega.(Tirmizi)

5. Apne Musalman Bhai ko Daikh ker Tera Muskura dena bhi Teri taraf se Sadqa hai.(Tirmizi) 6. Aur har Acchi Baat Sadqa hai.(Sahi Muslim)

7. Jo Shaks Allah aur Yaoum Aakhirat per Iman Rakhta Hai usae Chahiye k Apne Hamsaye se Accha Salook Karen. (Sahi Muslim)

8. Allah Tumhare Jismon aur Tumhari Surton ko Nahi daikhta bal k wo Tumhare Dilon ko daikhta hai.(Sahi Muslim)

9. Mazdoor ko us ki Ujrat, us ka Pasina Khushk hone se Pahle do.(sanan Ibne Maja)

10. Aik Shaks safar Karraha tha, Raste me use Shadeed pyas Lagi to us ne Aik kunwa Paya, wo us me Utra aur Pani piya, Phir jub wo Baher Nikla to daikha k aik kutta Haanp raha hai, aur Pyas k Mare Mitti chat raha hai, us Shaks ne Dil me kaha: us Kutte ko wiase hi pyas Lagi Jaisi mujhe Lagi thi, Tub wo Kunwe me utra aur Apna Mozah (chamde ki Jarab) Pani se Bhara, Phir us ne mozah apne Muh me Thama Hatta k wo Kunwe se Nikal Aaya, so Us ne Kutte ko Pani Pilaya, Phir Allah tala ne us ki Ye Naiki Qabool ki Aur use Baksh diya, Sahaba R.A ne Kaha: Aye Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya un Janwaron k bare me bhi Hamare liye Ajr hai? Aap ne Farmaya: Har Jandar k bare me Ajr Hai. (Sahi Muslim)

---------------------{ Waldain Ke Huqooq}----------------------

ALLAH TALA KA Irshaad hai Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono , To Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke
*Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala...

Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta,
Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Keliye Qud Apni Neend Qurbaan Kardi....

Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana TalahNe Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn SulukAur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai, Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par,
Maal Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Qidmat karo, Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo, Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain,
Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge , Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain IsiTarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge, Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki KhushiLenge {insha Allah } Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski AulaadBhi Usski Qidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge ........

★ Jo Jahez k liye Shadi karte Hain, wo Apne aap se puchain kya Shadi se pehle sasural k diye pe Guzar basar karte the.

"Mat bhooliye aap bhi kisi bahen k bhai hain, Dunya hai pyaroo Jaisa karoge waisa bharoge".

Agar aaj aap kisi ki Bahen ko Izzat daingeto kal koi Aap ki bahen ko Izzat dega. Kaash k tere dil main utar jaye meri baat.

★ Jo Jahez o Jode ki Raqam leta ho Main nai Samajhto k us shaksh ki Izzat Na us k Biwi k Dil main rahegi na Sasural walo k kyun k Ladki ko pata hai k us k walid ne kitni mehnat se paisa jama kiya tha is Faqeer ko dene k liye, Na Biwi k dil main izzat na Sasural walo k dil main Mohabbat…. Baat sahi hai na??

************{ Sadqa ki Fazilat}*************

Sadqa Jub Apne Malik k Hath se Nikalta hai to us Waqt 5 Jumle Kahta Hai:
1. Mai Fani Maal tha, tu ne Mujhe baqa Dedi.
2. Mai Tera Dushman tha, ab tu ne Mujhe dost Banaliya.
3. Aaj se Pahle tu meri Hifazat karta tha ab mai Teri Hifazat karunga.
4. Mai Haqeer tha tu ne Mujhe Azeem bana Diya.
5. Pahle mai Tere hath me tha, ab mai Khuda k Hath me Hun.

------ Jab Tum Duniya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa de ker Allah se Tijarat kiya karo.(Hazrat Ali R.A)

------ Har Acchi Baat ko Doosron tak Pohchana bhi Sadqa Hai.

♥ Aik Nojawan ki shadi hoti hai wo Apne Walid k paas jata hai k wo us k is Naye Azdwaje Safar k liye barkat ki dua kare, Jab wo apne Walid k paas jata hai us ka Walid us se aik Kagaz aur Qalam Maangta hai.
Ladka shadeed hairangi k sath jata hai aur Matluba cheeze lekar aajata hai aur apne Baap k paas baith jata hai…..Baap: Likho….Kya likhu??
Jo ji main chahe likho, Nojawan aik jumla likhta hai.
Baap kehta hai: Isai mitado , Nojawan mita deta hai.
Baap: Likho…Beta: Khudara aap kya chaahte hain?
Baap kehta hai: Likho… Nojawan phir likhta hai….Baap kehta hai. Isai Mitado. Baap kehta hai likho, Nojawan kehta hai: Allah k liye mujhe batayen k ye sab kuch kya hai, Baap kehta hai:
Likho, Nojawan likhta hai, Baap kehta hai mitado Ladka mitadeta hai.

♥ Phir baap us ki taraf daikhta hai aur usai thapki dete hue kehta hai,
Beta! Shadi k baad Eraser ki Zarurat hoti hai Agar azdwaji zindagi main tumhare pas Rabar nahi hoga jis se tum apni Biwi ki galatiya aur kotahiya mita aur muaaf karsako, Aur isi tarah agar Tumhari Biwi k paas Eraser na hua jis se wo tumhari galatiya aur na pasndida batain mita sake, "Agar ye sab kuch na hua to tum apni Azdwaje zindagi ka safa chand dino main kala karloge".

♥ ♥ Aik Doosre se Muqable ki Bajaye Maslihat se Kaam Lain ♥ ♥

(Aye Nabi!) Aap Momin mardon se kehdijiye k wo Apni nazren nichi rakhen.(Qur’an 24:30)
★ Aur Aap Momin Aourto se keh dijiye k wo Apni Nazren nichi Rakhe.(Qur’an 24:31)


♥ Agar Hamari Buri Nazar se Doosron ki Maa, Bahen, Beti Mahfooz hai
To Yaqeenan Hamari Maa, Bahen, Beti bhi Doosron ki Buri Nazar se Mahfooz rahen gi.
Narrated Sahl bin Sa'd: Allah's Apostle said, "Whoever can guarantee (the chastity of) what is between his two jaw-bones and what is between his two legs (i.e. his tongue and his private parts), I guarantee Paradise for him." [Hadith-Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 76 :: No 481]

Gour kijiyega……..!

Jab koi ladki date par ya tanhayi main kisiladke k sath milti hai to chahe wo us ko bayan kare ya na kare lekin Ladke k zahen main ye baat zaroor Aati hai k...
Jo Ladki apne Maa, Baap, Bahen, Bhayyonki izzat ki parwa nahi kar sakti jin k sath us ka khoon ka rishta hai to wo meri izzat ki paasdari kya karegi, Ladka aisi ladki ko date par to zaroor lejayega Magar jab shadi ki baat aayegi to wo paakizah kirdar ladki ka hi intekhab karega.

⇨ "Women impure are for men impure, and men impure for women impure and women of purity are for men of purity, and men of purity are for women of purity: these are not affected by what people say: for them there is forgiveness, and a provision honourable.(Qur’an 24:26)

..............✿......... Zaroori Guzarish.........✿..............

Islam Nikah se Pehle ISHQ ki isliye mazammat karta hai ta k Insan apni saari Mohabbate us k liye Bacha k rakhe jo un ka asal Haqdar hai.
Shadi se pehle ki mohabbat aise hai jaiseIftari se pehle koi iftar karle Iftar ka mazah bhi na raha, Gunah ka murtakib bhi hua, Kaffara ka kharcha bhi,aur Saza ka dhadka bhi raha.
Agar baat thodi si bhi samajh Aayi ho to doston se share Zaroor Karen.
Khaas tor par aisi modern nasal ko jo khud ko bahot padha likha samajhte hai.
-------------------------- ------------------------
⇨ "And among His Signs is this, that He created for you wives from among yourselves, that you may find repose in them, and He has put between you affection and mercy. Verily, in that are indeed signs for a people who reflect". (Qur'an 30:21)

"When a husband and wife look at each other with Love, Allah looks at both with Mercy".[Bukhari 6:19 & Tirmidhi 14:7].

♥ ๑۩๑ ♥ Dilchasp Kahani Hain ★ Zaroor Padhiyega ♥ ๑۩๑ ♥
♥ ๑۩๑ ♥ Aur Aap bhi Aisa karne ki Koshish kijiyega ♥ ๑۩๑ ♥

Aik Aadmi Office se apne ghar aaya us nedaikha k ghar ka sara saaman bikhra pada hai Bacche Trousers main phir rahehain na Baal banaye hue hain na Muh dhula hua hai andar se Bahar tak usai Badi hairat hui, Jab Andar gaya to Biwi koNovel Padhte daikh kar hairan reh gaya us ne pucha ye sab kya hai??
To Biwi ne Jawab diya ye sab wo hai jo Aap roz kehte hain k "Aakhir tum sara dinkarti kya ho"? Aaj Main ne wo sab Nahi kiya Aaj aap k samne hai k mai kya karti hun, ye aik sabaq hai un Shoharon k liye jo apni Biwiyon ki Qadar nahi karte, Aap se ilteja hai k Apni Biwiyon ki Qadar kijiye Aap inhain Ehsas dilwayen k Aap un ka khayal rakhte hain, un ki Qadar karte hain, un ki Izzat karte hain, aur sab se Badh kar un se Mohabbat karte hain.
★ Karenge na Sab ★•.•´¯`•.•★ I N S H A A L L A H ★•.•´¯`•.•★

........✿....... Acche Dost ki Pechan Kya Hai?.......✿........

★ Jo tujhe burayi se roke aur Naiki ki taraf ragib kare to Jaan le k wo aik Acchadost hai.

๑۩๑ Aur Acche Dost main Chaar khubiya hoti hain ๑۩๑
♥ Zaheen hota hai.
♥ Mukhlis hota hai.
♥ Hamdard hota hai.
♥ Naiki ki talqeen karta hai burayi se Mana karta hai.

★ Jis Main ye chaaro khubiya hon wo AikBehtareen dost hai, Agar Aap main koi Khami ho to wo Aap ko Alaahedgi main Aagah karde ta k Aap ko sab k saamne Sharminda na hona pade.

⇨ "The believers, men and women, are Auliya' (helpers, supporters, friends, protectors) of one another, they enjoin (on the people) Al-Ma'ruf (i.e. Islamic Monotheism and all that Islam orders one to do), and forbid (people) from Al-Munkar (i.e. polytheism and disbelief of all kinds, and all that Islam has forbidden); they perform As-Salat (Iqamat-as-Salat) and give the Zakat, andobey Allah and His Messenger. Allah will have His Mercy on them. Surely Allah is All-Mighty, All-Wise". Allah has promised to the believers -men and women, - Gardens under which rivers flow to dwelltherein forever, and beautiful mansions in Gardens of 'Adn (Eden Paradise). But the greatest bliss is the Good Pleasure ofAllah. That is the supreme success. (Qur'an 9:71-72)

Dunya ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Walidain
♥ Dana Dost
♥ Naik Biwi
♥ Naik Aoulad.
Aakhirat ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sadqah
♥ Huqooqul Ibad
♥ Taqwa
♥ Ilm.
Jism ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Km bolna
♥ Km khana
♥ Km sona
♥ Km hasna.
Dil ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sabr
♥ Zikr
♥ Shukr
♥ Gour o Fikr.
Iman ki Zeenat Chaar Cheeze Hain
♥ Haya
♥ Pakeezgi
♥ Sacchayi
♥ Adl (Insaf).

Allah Ham sab ko Har Zeenat se Aarasta Farmaye Aameen. Ya Allah Ham Sab ko sirf Nasihat karne wala Nahi Aml karne Wala Musalman Banade.
★•.•´¯`•.•★ A A M E E N ★•.•´¯`•.•★

★ Baccha School na jaye to Maarte Hain,
★ Masjid na Jayen to koi Baat Nahin [:'(].
★ English seekhne na jaye to Maarte Hain,
★ Qur'an paak na padhain to koi baat nahi [:'(].
★ Sikhaya A for Apple,
★ Na sikhaya A for Allah [:'(].
★ Sikhaya B for Ball,
★ Na sikhaya B for Bismillah [:'(].
★ Kisi Actor ki Naqal kare to khush hote hain,
★ Nabi ki sunnat par aml kare to Mazakhudate hai. [:'(].
⇨ "Then where are you heading"?........ (Qur'an 81:26).

♥ ๑۩๑ ♥ Baat Main Baat ♥ ๑۩๑ ♥

★ Acchi baat to sabko acchi lagti hai jb tumhe kisi ki buri baat bhi buri na lage to samaj lena tumhe usse MOHABBAT hai.
★ Tajurba insaan ko galat faisle se bachata hai. Magar Tajurba galat faisle se hi hasil hota hai.
★ Izzat dil me honi chahiye lafzon me nahi. Narazgi lafzon me honi chahiye dil me nahi.
★ Khush naseeb wo nahi jis ka naseeb acha hai. Balke khush naseeb wo hai jo apne naseeb par khush hai........:-) ♥

♥ In Baton par Aml karlain InshaAllah Zindagi Aasan Hojayegi ♥

★ Dunya ki Cheezain milne par khush na hon.
★ Dunya ki Cheez main nuqsan hojaye toranj na karain.
★ Deen ka kaam karte hue koi tareef kare to khush na hon.
★ Deen ka kaam karte hue koi bura kahe to ranj na Karain.
★ Allah Tala k Alawa kisi se koi ummeed na rakhain.
★ Kisi k sath bhi bhalayi karain to Faqt Allah Tala ki raza k liye.
★ Koi bhi khuahesh puri na hone par us main apni behtari talash karain.
★ Har insan se khush gumani rakhain, aur kisi ki baat sun kar kisi se talluqat kharab na kare, bal k khud baat kar k galat fehmi ko door karain.
★ Khushi ka waqt ho ya gham ka, yahi sochiye k Aarzi hai Guzar jayega Aur
★•.•´¯`•.•★ Aakhirat ki Zindagi na Khatam hone wali hai. ★•.•´¯`•.•★

...✿... Behtareen Insan Aamal Se Pehchana Jata Hai Warna ...✿...
...✿...... Acchi Baten To Diwaron Par Bhi Likhi Hoti Hain ......✿...
⇨ Dunya k liye itni Mehnat kar jitna tujhe yaha rahna hai.
⇨ Aakhirat k liye itni Mehnat kar jitna tujhe wahan rahna hai.
⇨ Allah ki Raza k liye itni koshish kar jitna tu us ka mohtaj hai.
⇨ Gunah itna kar jitna tujh me Azab sehne ki taqat hai.
⇨ Sirf usi Zaat se mang jo doosron ki mohtaj nahi hai.
⇨ Jab tu Allah ki nafarmani kare to wahaja jahan wo tujhe na Daikhe.
Rozana raat ko sone se Qabl apne Gunahon ki muaafi Mang kar sone ki Aadat banalen, Aur Rozana sone se Qabl is baat ka Muhaseba Karen k Aaj din ko Aap k Acche Aamal Zyada the ya Bure???

★ Aap jab bhi koi Islami post padhe to dil me Aml ki Niyyat zaroor kiya Karen PlzAur ye dua Manga Karen k Allah paak mujhe Hidayat den, Naik Aml ki Toufeeq den aur sidhe raste par qayem rakh, Aameen, Yaad Rakhiye Hidayat bhi Unhi ko milti hai jo Hidayat Pana Chahte hon.


★ Aasman par udte huwe parinde se kisi ne pucha “Kya tumhain zameen pargirne ka dar nahi?” us ne muskurakar jawab diya “Main Insan nahi jo zara si Bulandi par ja kar Akad jaon nazrain merizameen par hi hoti hain”.

⇨ "Turn not thy cheek in scorn toward folk, nor walk with pertness in the land. Lo! Allah loveth not each braggart boaster. Be modest in thy bearing and subdue thy voice. Lo! the harshest of all voices is the voice of the ass". (Qur'an 31:18-19)
Ibn Masud (RA) said: The Prophet (peace be upon him) said: “The haughty, even with pride equal to a mustard seed in hisheart, will not enter jannah.”

Eidul azha Ki Ibadatein

Hazrat Ibrahim khaliullah aur Hazrat ismail jabihullah ki kurbanion ne is Mubarak mahine ko qayanat tak ke liye tarikhi yaadgaar bana diya. Iske alawa ibadat wa riyazat ke ayetbaar se bhi yah bada Mubarak mahina hai. Allah paak ne apne un dono mahebub bando ki kurbani ko apne pyare rasul SALLALLHO ALAYE WA SALLAM ki ummat ke liye ek ibadat bana diya. Allah ke khushnasib bande kurbani pesh kar ke apne rab ki raza hashil karne ki sa-adat hashil karte hain.
IS MAHINE KI IBADATEIN.
1 – CHAND RAAT KO :- 4 rakat nafil padhey. Har rakat mai ALHAMDO SHARIF ke baad 25 baar KULHUWALLAH sharif padhey. Allah paak apne fazl se beshumar sawab ata farmayega.

2 – 10wi TARIKH tak rozana har raat 2 rakat nafl padhey. Har rakat mai SUREH FATEHA ke baad 3 baar SUREH KAWSAR aur 3 baar KULHUWALLAH padhey. Allah paak ek hazar nekiyan karne aur ek hazar denar khairat karne ka sawab ata farmayega.

3 – HAR JUMA ko 6 rakat nafil padhye. Har rakat mai ALHAMDO ke baad 15 baar KULHUWALLAH  padhey. Namaz ke baad 10 baar LAYELAHA ILLALLAHO HAKKUL MUBIN padhey. Allah paak sab se pahele jannat mai dakhil farmayega.

4 – AARAFA KI RAAT (8 wa din beetne ke baad apne wali raat) 2 rakat namaz padhey. SUREH FATEHA ke baad paheli rakat mai 100 baar ARAYETALKURSHI aur dusri rakat mai 100 KULHUWALLAH padhey. Allah paak qayamat mai padhene wali aur uske 70 adimiyon ko bhi bakhsh dega.

5 – BAKREID KI RAAT 12 rakat nafil padhey. Har rakat mai ALHAMDO ke baad 15 baar KULHUWALLAH padhey. Allah paak gunaho se paak farmakar 70 saal ki ibadat ka sawab ata farmayega.

6 – BAKREID KE DIN, NAMAZ KE BAAD ghar aakar 4 rakat nafil padhey. Paheli rakat mai ALHAMDO ke baad WASH SAMSH ek baar, tisri mai SUREH WAL LAILA ek baar, chawthi mai WAD DUHA ek baar. Is namaz ke padhne wale ko Allah paak sari asmani kitabo ki tilawat karne ka sawab ata faramyega.

Deen Hamari Zarorat Hai


dee-hamari-zarort-hai

Allah paak ne apne bande ko beshumar nemato se nawaz hai. Uski sab se behetareen nemat khud hamari zindagi hai. Zindagi wah hira hai jisse tarashna khud insaan ka apna kaam hai. Aaj ka har insaan ayes-o-aram ki zindagi jeena chahata hai. Wah chahata hai ki uski zindagi hashi-khushi guzre.
Aaj ki duniya mai khushal zindagi ka matlab ayes-o-aram ho gaya hai. Mazhab to hamari zindagi mai bas naam ke tawr par rah gaya hai halaki mazhab to insaan ki zarorat hai, wah to hamari rahnumayui karta hai, lekin ab mazhab ki koi ahematiyat nahi rahi. Sab ek rag mai ragnte ja rahe hai. Insaniyat ki tabahi ki paheli wazah yahi hai.
Aaj ki duniya ki sab se paheli aur badi insaani zarorat PAISA hai kyonki paise se insaan apni pasand ki har chhez kharid kar apni khowhish puri kar sakta hai, lekin chand ghanto, dino ya mahino ki yah khushi kis kaam ki. Zindagi bhar tak ke liye khushi wa sukun paise se nahi hasil ho sakta. Yah dawlat to hame deen ke usulo par amal karte huwe zindagi guzarne par hi hasil ho sakegi.
Had ho gayi ki insaan apni pahechan kho baitha hai. Waha pane apko nahi pahechan raha hai. Jo apne apko nahi pahechan raha hai wah apne khuda ko kya pahechan payega. Insaan kya se kya ho gaya? Insaniyat kaha chaliy gayi? Jin logo ne zindagi ka matalab paisa kamana aur ayes-o-aram ki masti bhari zindgi guzarna samjh liya hai, wah bade ghate mai hai.
Yaad rakhiye zindagi mehemat se sawarti hai. Duniya ka sab se khush nasib insaan paak daman mehenti musalman hai. Duniya mai wahi tarakki karega jo waqt ki kadr karte huwe mehenat wa imaandari ki zindagi guzarte huwe halal rozi kamaye aur khaye-khilayega.
Allah ka dusra inaam ISLAM hai. Shukr hai ki usne hame imaan ki dawlat ataa farma ka musalman banaya. Islam puri insaani duniya ki islah wa kamiyabi ka zamin hai. Iske paak usolu par chal kar insaan dili tawr par pyar, mohabbat, aur ayes-o-aram ki khushaal zindagi gozar sakta  hai.
Mehenat insaan ka sab se behetareen zewar hai. Kaam ke bina insaan nakaam hai aur uski zindagi adhuri . mehenat ka matlab yah hai ki adimi job hi kaam kare usmai apni puri takat de aur apne maksat mai kamiyabi hasil kane ke liye akhiri dam tak lagan aur imaandari se kaam mai jut e rahe. Itni mehenat, , lagan se kaam kare ki wah apne fan ka ustad ban jaye. Is manzil par hi insaan ko apni mehnat ke al ka maza nasib hota hai.
Aaj ki tez rafter duniya mai izzat wa shohorat ki zindagi ke liye waqt ka takaza hai ki ham jayez tarike se mehnat wa lagan se kaam karke halal rozi hasil kare kyonki halal kamayi se hi dili sukun hasil hota hai, halal rozi khane wale ki dua Qabul hoti hai aur nazayaz tarike se kamaya dhan (dawlat) hamre liye duniya wa akhirat mai tabahi wa musibat ka samaan banega. Lekin haye afsos, paise kamane ke dhun mai hamara musalman bhai bhi dusro ki tarah dewana (pagal) ban kar apne paak deen ke usolu ki khilaf warzi kar raha hai. Aaj  hamare kitne nadan bhai nazayaz tarike se dawlat kamane mai fase huwe hai aur iske liye na karne ke kaam bhi kar rahe hai. Allah ayeso ko hidayat de … AMEEN
Hame har haal mai apne musalman hone ka ayesas bedar rakhna hoga, HALAL-HARAM kef ark ko samjhna hoga. Asali nafa-nuksan pahechana hoga. Ham jab apna Islami zameer bedar rakhege to hamara islam hame hamesha jayez wa halal kaam karne ki izazat dega aur haram wa nazayaz kamo se rogega. Ayesa hone par hamari mehnat-mazduri ki halal kamayi mai Allah paak hame itni barkat ataa farmayega ki ham garib hote huwe bhi AMEERO se khushal zindagi guzarege jaha chalo taraf sukun hi sukun hoga.

PYARE NABI KI PYARI BAATEIN

[1] Adheri raato mai namaz ke liye masjid jane wale namaziyon ke liye khushkhabri hai ki qayamat ke adhere mai unhe nor hasil hoga.

[2] Jisne isha aur fazar ki namaz jam-at  se ada ki goya usne raat bhar ibadad ki.

[3] Jo adimi namaz ada karne ki niyat se ghar se masjid gaya to har-har kadmo parr uska ek-ek darza baland hoga. Ek gunah maaf hoga. Jab tak waha masjid mai raheta hai, farishte uski magferat ki dua karte rahete hai.

[4] jisne allah ki raza ke liye yasin sharif padhi, uske gunah maaf kar diye jate hai.

[5] Yatim ka maal khane wale jab apni qabro se uthhege to unke muuh se aag ke shole ugal rahe hoge.

[6] Mehenat-mazduri karne rozi hashil karne wale allah ke dost hai.

[7] Har juma mai maa-paap ki kabro ki jiyarat ke liye jane walo ke gunah bakhsh diye jate hai.

[8] Jisko apne deeni. Bhai ke dukh-shukh ka ayesas nahi wah hamra nahi.

[9] 2-akho ko jahannam ki aag na chu shakegi – [1] Allah ke khwf se rone wali ache [2] khuda ki rah mai pahera dene wali ache.

[10] Jo elm deen kit alas mai ghar se nikla, wapas apne tak wah muzahid ki tarah hai (usse zehad ka sawab milega)

[11] Jo tumhe marhum kare (tumhara haq na de) tum usse to, jo tumse rishta tode tum usse nata jodo, jo tum par julm kare tum usse maaf kardo. Ayesa karne walo ko allah paak apni rahemat se jannat mai dakhil farmayega.

[12] Jab tak ki adimi mazak mai bhi jhhot bolna na chhode, momin nahi ho shakta.

[13] Jo logo ko hasane ke liye jhhot bole wah tabah ho jaye, tabah ho jaye, tabah ho jaye.

[14] Jo adimi sawab ki niyat se achchhi tarah waju kare aur apne bimar bhai ki tabiyat puchhne jaye wah jahannam se 60 baras ki rah jitna duur kar diya jata hai.